1. Shaan savere tere aankhon tale, dekha ek jahan, baharon sa khila tha
phoolon sa saja tha, mehki hawah hoton se dil mein uttar aayi
Kaha na kuch usne bas yunhi katarake gayi
Behti hawah ko jo maine chooke dekha, Jiase ho gaya rangeen yeh saara jahan
Dekhi maine simti hui si pyar bhari duniya, Jahan se pare hian usa har rang,
har pehlu mein ek pal sa bandha hua.
Khwab jo maine dekhe, Un khwabon ki tasveer hain tu,
dil ne jisse apna maana woh dhadkan hain tu.
Jiski kami har pal mere dil mein thi, jiski tamana har pal mere dil ne ki,
Kaash woh kahin mil jaye mujhe, luta doon uspe saari khushiyan aur
pyar bhare nagme.
2. Raah mein usse jab mila, ek khamosh lamhe ki tarah, behti hawah sa
jo uski aankhon mein maine dekha, tham gaya waqt aur yeh jahan.
Jaise ki jal uthe hazaron diye, har taraf ho jaise phoolon se saji hui raahein,
tham loon tujhe isi jagah, lekar chaloon tujhe sang apne har jagah,
tu hi toh hian meri zindagi aur har tamana, tu hi aasman aur
tujhse hi mera jahan.
3. Tanha yun main chala duniya se rehke akela, Na kisine jaana na samjha.
Kyun hogi kisiko meri zaroorat, kaha khogayi meri ehmiyat darbadar
dhoondta raha.
Dheere dheere palke kholke zindagi ko jo dekha maine, zindagi ne mujhe
dekha aur has diya. Acha karm karni ki lagan, har pal madat karne ki tadap,
siwah dhoka aur mazak ke elawah kuch nahi mila.
Sochta hoon ki sabko do khushi, par kismat ko shayad yeh manzoor nahi,
dil rota hain abhi, chahta kuch aur hota kuch aur hi.
Na jaane maine kiska kya gunaah kiya, jo mili hain mujhe yeh saja,
Tanha yun maine chala, duniya se rehke akela